Thursday, 6 December 2012

Ek waqt tha woh bhi, ek waqt yeh hai


Ek waqt who tha, ek waqt yeh bhi..

Na tum ruk sake kabhi, na me kabhi  bad saka
Na tum kuch keh sake, na me chup reh saka
Khamoshi thi hamesha hi darmayan jaise..
Na pucha kuch tumne aur na me kuch keh saka….

Na saath reh saka kabhi, na kabhi juda ho saka,
Na hans saka kabhi, na ansoon hi rook saka,
Har dard dilka, siski banke nikalta raha
Na kafir ban saka kabhi, aur nahi  kabhi dua pad saka.

Na dikhti thi manzil mujhko, tha raahoon pe me gumshudaa,
Jo badna chaha kabhi, toh yaadon ki zanzeer me ulajh ke girpada,
Khudki nazroon me gira, tab hai yeh samjhaa,
Raah maine jo chuni thi, uski manzil hi thi tanha

Ek waqt tha who, ek waqt yeh bhi……