Monday, 2 July 2012

Mragnaini


Mragnaini tu hai chandrakala, Tera roop rang hai sabse bhala,

Tu sapt suron ka sangam hai, Tujhme Indradhanush ka har rang hai,

Tere nain prem ki vaani hai, Tu sundar hai tu gyaani hai,

Tu nirmal hai tu pavan hai, Tu behti nadiyan ka jal hai,

Tu andhkaar me jyothi hai, tu neel kamal ka moti hai,

Tu samandar ki gehrai hai, Tu prakarti ki parchai hai,

Tu gagan me aasimit khoj hai, Tu suraj ki pehli kiran hai,

Tu sheet ki pehli kampan hai, Tu baarish ki pehli boondh hai,

Tu anek kalaon ka mael hai, Tu mera nij jeevan , prem aatma....Tu mragnaini.....

No comments:

Post a Comment