Is khamoshi me kitna shor hai, aur bheed bezubaan hai,
tanhaiyaan gehri hai kitni, aur rishte naadan hai,
saach ke kitne hai chehre, aur kya un chehron ki pehchaan hai,
waqt me behte lamhe, aur har lamhe me ek daastan hai,
har khushi me chupe dard, aur us dard me kayin armaan hai,
piya hai kitni baarishon ko, aur phir bhi pyaasi yeh zubaan hai,
kehti hai ankhen sab kuch, aur phir bhi mohabbat anjaan hai,
sab kuch hai par kuch bhi nahi, shayad... zindagi isi ka naam hai.
No comments:
Post a Comment