Monday, 2 July 2012

Woh MAA hai


Maa
Jo bhagwan se bhi badi, jiski bhagwan ko bhi zarurat padi
Jiske bina adhura sa yeh jeevan hai, who MAA hai,

Meri  hansi  me aansu ko pehchane jo, mere ghusse  me pyaar ko samjhe jo
Meri  rahat me dard ko samjhe  jo, who MAA hai

Jisne raat bhar jaag kar mughko sulaya, jisne apna pet kaat kar mujhko khilaya
Jisne khud ki  saare chod mujhe khilona dilaya, who MAA hai

Jo pyaar ke badle me pyaar nahi maangti, jo jaati  toh hai  har subah  mandir par khud ke liye khud nahi chahti  hai
Jiski prarthana me bhi  apne bachonn ka naam hai, who MAA hai

Meri kya aukaat ke me tujhe pyaar de saku, aise shabdh kahan ke tujhe bayan kar saku
Sabse khush nasib kardiya jisne mujhe chun ke, who MAA hai

1 comment: