Maa
Jo bhagwan se bhi badi, jiski bhagwan ko bhi zarurat padi
Jiske bina adhura sa yeh jeevan hai, who MAA hai,
Meri hansi me aansu ko pehchane jo, mere ghusse me pyaar ko samjhe jo
Meri rahat me dard ko samjhe jo, who MAA hai
Jisne raat bhar jaag kar mughko sulaya, jisne apna pet kaat kar mujhko khilaya
Jisne khud ki saare chod mujhe khilona dilaya, who MAA hai
Jo pyaar ke badle me pyaar nahi maangti, jo jaati toh hai har subah mandir par khud ke liye khud nahi chahti hai
Jiski prarthana me bhi apne bachonn ka naam hai, who MAA hai
Meri kya aukaat ke me tujhe pyaar de saku, aise shabdh kahan ke tujhe bayan kar saku
Sabse khush nasib kardiya jisne mujhe chun ke, who MAA hai
this one is the best of the lot..:)
ReplyDelete